Bhajan Name- Mai To Ratu Radha Naam bhajan Lyrics (मै तो रटु श्री राधा नाम भजन लिरिक्स )
Bhajan Lyric –
Bhajan Singer -Shyam Bihari Das (Shivam Chaurasia),Jay Shree Devi Dasi (Yashi Parihar)
Music Label-
Main to ratu Shri Radha Radha naam,
Biraj ki galian mein,
Khoi rahungi aatho yaam,
Biraj ki galian mein.
Iti uti dolun kah kah Radha,
Mit jaaye jeevan ki baadha,
Aur mil jaaye Ghanshyam,
Biraj ki galian mein,
Main to ratu Shri Radha Radha naam,
Biraj ki galian mein.
Uljhi uljhi Braj ki kunjon mein,
Seva Kunj aur Nidhivan mein,
Jeevan ki ho jaaye shaam,
Biraj ki galian mein,
Main to ratu Shri Radha Radha naam,
Biraj ki galian mein.
Ab to aas yahi jeevan ki,
Raj mil jaaye mohe Shri charanon ki,
Jab nikle tan se praan,
Biraj ki galian mein,
Main to ratu Shri Radha Radha naam,
Biraj ki galian mein.
Main to ratu Shri Radha Radha naam,
Biraj ki galian mein,
Khoi rahungi aatho yaam,
Biraj ki galian mein.
Hare Krishna Hare Krishna
Krishna Krishna Hare Hare
Hare Rama Hare Rama
Rama Rama Hare Hare